Aa..
tera fitoor.. jab se chadh gaya re
tera fitoor.. jab se chadh gaya re
ishq jo zara sa tha woh badh gaya re
tera fitoor jab se chadh gaya re
tu jo mere sang chalne lage
to meri raahein dhadakne lage
dekhun jo naa ik pal main tumhein
toh meri baahein tadapne lage
ishq jo zara sa tha woh badh gaya re
tera fitoor.. jab se chadh gaya re
tera fitoor.. jab se chadh gaya re
aa..
haathon se laqeerein yehi kehti hai
ke zindagi jo hai meri
tujhi mein ab rehti hai
labon pe likhi hai mere dil ki khwaahish
lafzon mein kaise main bataaun
ikk tujhko hi paane ki khaatir
sabse judaa main ho jaaun
kal tak maine jo bhi khwaab the dekhe
tujhme woh dikhne lage
ishq jo zara sa tha woh badh gaya re
tera fitoor.. jab se chadh gaya re
tera fitoor.. jab se chadh gaya re
aa..
saanson ke kinaare bade tanha the
tu aa ke inhe chhu le bas
yehi to mere armaan the
saari duniya se mujhe kya lena hai
bas tujhko hi pehchanu
mujhko naa meri ab khabar ho koi
tujhse hi khudko main janu
ratein nahi katti bechain se hoke
din bhi guzarne lage
ishq jo zara sa tha woh badh gaya re
tera fitoor jab se chadh gaya re
tera fitoor jab se chadh gaya re
aa..
Album | Genius |
Lyricist | Kumaar |
Singer | Arijit Singh |
Music | Himesh Reshammiya |